1. "ye raat kuchh yaad dilati hai aksar soch kar guzre waqt ko rulati hai aksar wo chaand to to saare aasmaan me baitha hai baahen failaaye kya ik katra us chandni ka kabhi, girta hai mere bhi ghar par" 2. "kho chuka mai khud ko , khud ki talaash me ek kitaab hai ye zindegani har naye panne se juda hai, pichhli kahani sabse meethee yaad mere maidaani shahr ki naa koi waadi , naa koi samandar bas mohbbaton ki hai ye hawa diwani har shakhs hai yahan apna dost bhi apna, dushman bhi apna aab bhi apna, hawa bhi apni, wo chalta, girta mera apna bachpan wo bhagti ,khelati meri rawani wo samjhna mera chaand ko, wo narm ujli tapish aaftaab ki wo pakki see chamakti sadak aur jazbaaton ki ek lambi kahani wo har pahla waqya zindegi ka har fiza jaise hai saathi mere har ahsaas ki karta hai aksar dil bahut, us mitti se lipat jaane ko rok dene ko waqt ko aur simat jaane ko laaun kaha se wo alfaaz jo bayaan kar sake meri mohbbat ik baar khuda tu bhi sun le, dil ki dua lipta de us mitti...