संदेश

जनवरी, 2010 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

"परछाई"

चित्र
"मुझको उनकी हर बात याद आती है जो गिरे और उठे कभी राहों में साथ दबी-दबी सी इक आवाज़ सुनाई आती है मै तो चलता ही रहा अपनी धुन में अक्सर ज़िंदगी बस कभी उखड्ती कभी दबती राह नज़र आती है खो चुका मै खुद को ना जाने कब दिल की पनाह में कहीं मगर छुपा है ख्याल-ऐ-रब दिल करता है फिर से चलूँ उस गली में कोई अपना नहीं जहां , मगर हर दीवार पे अपनी परछाई नज़र आती है "

"Soorat"

"Soorat" 1."kuchh soorat hi teri aisi hai ki, teri barat janaza apna lagti hai kuchh adat hi apni aisi hai ki ,janaza bhi apna tujhko barat nazar ata hai wo khayalon me rahne walo ki talab hi kharab hai ke chamakta chehra hi tera, band gali me aftaab nazar ata hai" 2. "badi katil soorton ke deewane hue aaj kal hum bhi ghar se apne begane hue wo jagah paak unche dil ki meri naa samajh aayi kabhi katil sooraton ko ik andheri see raat me fir hum parwane hue"
1. "ye raat kuchh yaad dilati hai aksar soch kar guzre waqt ko rulati hai aksar wo chaand to to saare aasmaan me baitha hai baahen failaaye kya ik katra us chandni ka kabhi, girta hai mere bhi ghar par" 2. "kho chuka mai khud ko , khud ki talaash me ek kitaab hai ye zindegani har naye panne se juda hai, pichhli kahani sabse meethee yaad mere maidaani shahr ki naa koi waadi , naa koi samandar bas mohbbaton ki hai ye hawa diwani har shakhs hai yahan apna dost bhi apna, dushman bhi apna aab bhi apna, hawa bhi apni, wo chalta, girta mera apna bachpan wo bhagti ,khelati meri rawani wo samjhna mera chaand ko, wo narm ujli tapish aaftaab ki wo pakki see chamakti sadak aur jazbaaton ki ek lambi kahani wo har pahla waqya zindegi ka har fiza jaise hai saathi mere har ahsaas ki karta hai aksar dil bahut, us mitti se lipat jaane ko rok dene ko waqt ko aur simat jaane ko laaun kaha se wo alfaaz jo bayaan kar sake meri mohbbat ik baar khuda tu bhi sun le, dil ki dua lipta de us mitti