1.
"ye raat kuchh yaad dilati hai aksar
soch kar guzre waqt ko rulati hai aksar
wo chaand to to saare aasmaan me baitha hai baahen failaaye
kya ik katra us chandni ka kabhi, girta hai mere bhi ghar par"


2.
"kho chuka mai khud ko , khud ki talaash me
ek kitaab hai ye zindegani
har naye panne se juda hai, pichhli kahani
sabse meethee yaad mere maidaani shahr ki
naa koi waadi , naa koi samandar
bas mohbbaton ki hai ye hawa diwani
har shakhs hai yahan apna
dost bhi apna, dushman bhi apna
aab bhi apna, hawa bhi apni,
wo chalta, girta mera apna bachpan
wo bhagti ,khelati meri rawani
wo samjhna mera chaand ko,
wo narm ujli tapish aaftaab ki
wo pakki see chamakti sadak
aur jazbaaton ki ek lambi kahani
wo har pahla waqya zindegi ka
har fiza jaise hai saathi mere har ahsaas ki
karta hai aksar dil bahut, us mitti se lipat jaane ko
rok dene ko waqt ko aur simat jaane ko
laaun kaha se wo alfaaz jo bayaan kar sake meri mohbbat
ik baar khuda tu bhi sun le, dil ki dua
lipta de us mitti ke agosh me mujhko
fir chahe to , chheen le apni ye zindegi bemaani"







टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

"बेशरम का फूल "

मुद्दत